- BedTea.in | Ravi Matah's Blog - https://bedtea.in -

JAI SHRI KRISHNA – MERE GHAR AANA

Ek baar mere ghar aa ke to dekh,
Ek baar mujhe apna bana ke to dekh,

Tere liye Sudaama ban jaaoonga,
Safed makkhan nahin to Amul Tujhe khilaaoonga.

Rath nahin to kya, Santro mein ghumaaoonga,
Teri khaatir Arjun main ban jaaonga,
Ration bazaar nahin, Mall mein ghumaaoonga,
Ek baar tu mere ghar aa ke to dekh,
Ek baar mujhe apna bana ke to dekh.

Maangne ki koi ichcha nahin,
Shukriya Aapne sab kuch diya hai,
Maangoon sirf ek jhalak Teri,
Darshan dikhla ja, meri bigdi banaa ja.

Aap ke liye dhoti Kurta nahin to jeans khareedwaaoonga,
Chappal nahin, ‘Nike’ main dilwaaoonga.
Vaiada hai doodh/chaach pilaaoonga,
Guy nahin to kya, Mother Dairy se Plastic-pack le aaoonga.

Bansuri nahin to CD pe dhun sunvaaooonga,
Dholak, baansuri, gaatke – main le aaoonga,
Naach waise-hi raha hoon,
Raas Leela karwaaonga,

Bhaarat mein Mahabhaarat to abhi khatam hui hai,
Aap ki Kripa, Gujraat se Yudhistra Dilli aaya hai.

Aajkal jinko dikhta hai, Dhritrastra ho gaye hain wo,
Pooja-paathi Sant jail mein, quatil khule-aam ghoom rahe hain.

Dekh to sahi kaise badal gayi duniya Teri,
Dekh le kaise ujad gayi duniya meri,
Aarti main sajaaoonga, deepak dhoop jalaaonga,
Jhalak dihkla ja mera janam sanwaar ja.

Ek baar, mere ghar pe aa ke to dekh,
Ek baar mujhe apna bana ke to dekh.

Tera bhakt – Ravi.

Shri Krishna [1]

Shri Krishna