BETIYAAN MAHAAN HOTI HAIN

August 4th, 2015 by Ravi Matah | Posted in Life   Comments Off on BETIYAAN MAHAAN HOTI HAIN
Email this Email  |  Print This Post Print This Post   |  

Aaj yek kitni badi vidambana he ki ‘betiyon’ ko apna lekh ka vishey bana kar kehna pad raha he
bina jinke hum samaaj ki kalpana hi nahin kar sakte uski hum hatya kar rahe hain.

Durbhagya hai is desh ka ki jagah jagah ‘Beti Bachaao Bet Padhaao’ ki is vishay par charchay ho rahe hain.

Mitro, unke dil se poocho jin ke ghar aulaad nahin he?

Bhikari bun kar woh Mandir Masjid Gurudwaaron per ja kar aulaad ki bheek maangte hain.

Jin ke ghar do do bete hain, Ik din  bhikhaari to woh phir bhi ban jaate. Is vishay ka main aage khulasa karta hoon.

Betiyaan mahaan hoti hain,

Pita ki jaan hoti hain,

Ghar ki shaan hoti hain,

Thodi shaitaan hoti hain.

Jab meri bitiya teen varsh ki hui to uski Maa ne use payjeb (anklets)  le di aur maine usme do do ghunghuro extra dalwa diye. Ab saara din woh ek kamre se doosre mein aur teesre se baraamde main bhaagti phirti –
aur woh jo payjeb ke ghunguroan se sangeet ubharta tha, woh sangeet aaj bhi koi mahaan  sangeetkaar bana nahin sakta.

Agar ghar mein bitiya he to aap bhaagyawaan hain,
Ghar mein bitiya  nahin  Woh ghar kahaan, sirf makaan he.

Betiyaan mahaan hoti hain, gharon ki shaan hoti hain.
Beta ghar mein ho to beshak chulha thanda pad jaaye,
Beti ghar mein ho to bhookha mehmaan nahin ja sakta.

Akhbaaron mein padh ke pata laga ki kuch Pita aur kuch Doctor hatyaare ho gaye,
Sunte hi beti hone waali he, Bhroon hatya karvaane lage.

Arre Mitro, jiska abhi janam hi nahin hua uski hatya karvaane lage.
Aap ke ghar Luxmi aa rahi he aur aap use bhagaane lage.

Ab main usi point per aata hoon ki jis ke ghar sirf bete hain – dekhiye

Makaan ko ghar banaane ke liye Bahu to maangni padegi.
Ab dekhiye woh bhikhaari bun gaya ki nahin?

Suna he ab ratio 100% ladke aur 84 % ladkiyaan ka ho gaya he.
Ek din Bhikhaari bun jaaoge,  apne bete ke liye bahu chahiye to bheekh maango ge.

Sachchayee dekhiye —

Dulha ghori pe chadh ke saath 100 aadmi, band-baaja le ke jaata he,
Woh moorakh itna nahin jaanta ki woh Sherni to wahaan se akeli hi chali aayee.

Sherni Shakti he.

Agar aap yeh chahte ho ki Ishwar aap ke saare dukh dard door kare,
to jis ko Bahu ke roop  ghar laaye ho uski saari khushiyaan pori karo.

She is someone’s daughter.
She may be mother some day.
She may be wife some day.
Treat her the way you’d want yours treated.
Betiyon ke mehatva pe do punktiyaan suniye –

Betiyon ne hardum ghar ka naam hi roshan kiya he,

Waqt aane per Meera ne zehr ka pyaala piya he,

Haath mein talwaar liye LuxmiBai bani he,

Saanya ban kar khel ke maidaan mein bhi khilkhilaayi,

Lata Mangeshkar ko sun Samandar dolte hain,

Betiyaan to Bhagwaan ka vardaan he.

Ladki ka astitva to Shrishti Shrijan se juda he.
Itna hi nahin hamaara Purush pradhaan samaj us seema tak pahunch chuka he ki hamey Beti bachaao aadi yojnao ko chalaane ki zaroorat ho rahi he.

Is dharti se maatrishakti ka maan nahin ja sakta,
Nar ke mun se Naari ka Samman nahin ja sakta.
Baap ki pagdi he woh, Maa ka reshmi paridhaan he who.

Betiyaan mahaan hoti hain, gharon ki shaan hoti hain.

Tags: , , , , , , , , , ,

Comments are closed